dekhiye gul kī mohabbat hameñ kyā detī hai
bulbul-e-zār ye hasrat se sadā detī hai
tum salāmat raho zinda hai tumhīñ se ulfat
haath uThā kar tumheñ hasrat ye duā detī hai
kyā kahūñ aah meñ tum se ki mohabbat kyā hai
ye vo shai hai ki jo insāñ ko miTā detī hai
sachchī ulfat bhī ajab chiiz hai allāh allāh
jalva-e-yār ko har shai meñ dikhā detī hai
sar-e-taslīm tah-e-teġh jhukā de apnā
ye sadā dil se mire us kī razā detī hai
vā.e-barbādī-e-qismat ki pas-e-marg sabā
ḳhaak ushshāq-e-jafā-kash kī uḌā detī hai
ḳhāna-e-dil meñ 'jamīla' yahī us kī ulfat
yās-o-armān-o-tamannā ko biThā detī hai