Jameela Khuda Bakhsh

ishq-e-butan ka jab se mujhe Dhang aa gaya

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
ishq-e-butāñ kā jab se mujhe Dhañg aa gayā
hāthoñ se mere dast-e-junūñ tañg aa gayā
kis shauq se ye bazm meñ kahtā hai dil mirā
mutrib ke saath ban ke yahāñ chañg aa gayā
Darnā abas hai ḳhār-e-muġhīlāñ se ab mujhe
manzil meñ ishq ke ka.ī farsañg aa gayā
jī chāhtā hai pheñk duuñ pahlū se maiñ use
betābiyoñ se dil kī to maiñ tañg aa gayā
manzūr shīsha-e-dil-e-āshiq hai toḌnā
jo haath meñ liye hue vo sañg aa gayā
pāmāl tum ne gar dil-e-āshiq nahīñ kiyā
talvoñ meñ kyuuñ na ḳhuun kā phir rañg aa gayā
kis tarah log kū-e-butāñ tak chale ga.e
mere to har qadam pe vahāñ sañg aa gayā
sun kar ġhazal ko merī 'jamīla' ne ye kahā
is meñ to sūfiyāna bhī kuchh rañg aa gayā
Top Urdushayar.com