Jameela Khuda Bakhsh

uTha kar naz se burqa dikha kar ru-e-zeba ko

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
uThā kar naaz se burqā dikhā kar rū-e-zebā ko
tamāshā kar diyā dilbar ne mujh mahv-e-tamāshā ko
munāsib thī jo jā bas us meñ rakkhe tohfa-e-dil-bar
nigah meñ yaas ko hasrat ko dil meñ sar meñ saudā ko
dikhātī hai mire ashkoñ kī tuġhyānī mujhe kyā kuchh
habāb-e-dil kabhī dekhā kabhī amvāj-e-dariyā ko
ḳhayāl-e-rū-e-zebā meñ to dāmān-e-sahar dekhā
shab-e-furqat tasavvur kar liyā zulf-e-chalīpā ko
marīz-e-hijr terā mehmāñ hai ab koī dam kā
dikhā.e vaqt-e-āḳhir nabz apnī kyā masīhā ko
dil-e-bīmār meñ ghar kar liyā hai dard ne apnā
ilāhī maiñ rakhūñ kis jā in armān-o-tamanna ko
tumheñ to ai sanam manzūr apnī parda-poshī thī
dikhā.ī tūr-e-sīnā par tajallī kis ne muusā ko
ḳhajil kaisā kiyā hai dīda-o-dil ne fidā.ī ke
subū ko jaam ko miinā ko aur sāġhar ko sahbā ko
charāġh-e-ishq raushan kar diyā farhād-o-majnūñ ne
kiyā ābād us ne koh ko aur us ne sahrā ko
rahā vīrān ba.ad-az-marg-e-hāfiz ek muddat tak
kiyā ābād jā kar ham ne gul-gasht-e-masla ko
mire pahlū ko muusā dekh kar hairat se kahte haiñ
chhupāyā kis tarah dil meñ 'jamīla' is tajallā ko
Top Urdushayar.com