sabr kar sabr dil-e-zār ye vahshat kyā hai
dasht-e-pur-ḳhār meñ jaane kī zarūrat kyā hai
ik tahayyur meñ paḌā huuñ nahīñ miltā hai pata
chashm-e-be-ḳhvāb meñ ye sūrat-e-hasrat kyā hai
dil meñ baiThe haiñ to phir muñh kā chhupānā kaisā
ai but-e-hosh-rubā aap kī aadat kyā hai
loriyāñ degī qazā chain se so jā.eñge
tere bīmār ko marne kī zarūrat kyā hai
nek-o-bad jab tirī marzī pe hue haiñ mauqūf
baḳht kahte haiñ kise aur ye qismat kyā hai
dam-e-āḳhir hai mirā tum sar-e-bālīñ aao
ek saa.at ke Thaharne meñ qabāhat kyā hai
roz-e-ishrat meñ samajhtī huuñ 'jamīla' is ko
log kis vāste Darte haiñ qayāmat kyā hai