Jameela Khuda Bakhsh

haalat to dekh li meri chashm-e-pur-ab ki

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
hālat to dekh lī mirī chashm-e-pur-āb kī
saaqī nahīñ havas mujhe jām-e-sharāb kī
dil ko sharār-e-shola-e-ġham ne jalā diyā
pahlū se aa rahī hai jo ḳhushbū kabāb kī
kis kī shamīm ne use aisā basā diyā
aatī hai apnī ḳhaak se ḳhushbū gulāb kī
afsāna-e-guzishta ye kahtā hai mujh se dil
kyā zikr un kā bhūliye bāteñ haiñ ḳhvāb kī
is bārgāh-e-ahmad-e-mursal ke sāmne
vaq.at nahīñ hai kuchh bhī falak se habāb kī
az-farsh tā-ba-arsh munavvar usī se hai
aisī chamak hai rauza-e-ālī-janāb kī
kyūñkar na huuñ maiñ naġhma-sarā un kī na.at meñ
bulbul huuñ bostān-e-risālat-ma.āb kī
is dahr-e-be-baqā se lagā.ūñ maiñ dil ko kyā
hastī hai ek vus.at-e-mauj-e-sarāb kī
izzat na tere arsh pe kyuuñ kar malak kareñ
tū hai 'jamīla' ḳhāk-e-qadam bū-turāb kī
Top Urdushayar.com