tere āshiq ko talab gul kī na gulzār kī thī
josh-e-vahshat meñ havas vādī-e-pur-ḳhār kī thī
tere jhoñkoñ ne uḌāyā hai jise vaqt-e-sahar
ai sabā ḳhaak vo mere dil-e-bīmār kī thī
chaman-e-ishq-o-mohabbat meñ ba-sān-e-nargis
aañkh hasrat se khulī tālib-e-dīdār kī thī
shab-e-tārīk se furqat kī maiñ kyuuñ ghabrātā
vo siyāhī bhī tire gesū-e-ḳhamdār kī thī
ḳhvāhish-e-dīd pe be-kār bigaḌ jaate haiñ
ye to farmā.iye kyā baat ye takrār kī thī
vo jo uTThe to qayāmat ne uThāyā sar ko
vo bhī muhtāj magar qāmat-e-dildār kī thī
zo.af ne kar diyā ḳhāmosh 'jamīla' varna
ham se raunaq to kabhī kūcha-e-dildār kī thī