Jameela Khuda Bakhsh

fasl-e-gul dekh ke afzun hui wahshat apni

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
fasl-e-gul dekh ke afzūñ huī vahshat apnī
le chale dekhiye kis jā mujhe qismat apnī
go mujhe zo.af ne majbūr kiyā thā lekin
manzil-e-ishq meñ kaam aa ga.ī himmat apnī
tū hī insāf se kah de ki ye pardā kyā hai
kyuuñ chhupātā hai dikhā kar mujhe sūrat apnī
pūchhte kyā ho fidā jaan kiyā kyuuñ maiñ ne
ishq apnā hai dil apnā hai tabī.at apnī
mahv-e-nazzāra haiñ ham to kisī jānib chhup kar
aur vo ā.īne meñ dekhā kare sūrat apnī
rāhat-o-ranj kā ġhairoñ pe asar kyā hogā
rañj apnā hai alam apnā masarrat apnī
jaan jaa.e to chalī jaa.e magar ai qātil
tere kūche hī meñ ho jaa.e shahādat apnī
sar meñ saudā-e-havas aur takabbur na rahe
chashm-e-bātin se agar dekhe haqīqat apnī
tār-e-malbūs-e-ḳhudī kyuuñ raheñ baaqī mere
panja-e-dast-e-junūñ apnā hai vahshat apnī
mar hī jā.ūñ maiñ agar hijr meñ naale na karūñ
āh-o-zārī se nikal jaatī hai kulfat apnī
dil use de ke 'jamīla' maiñ abas kyuuñ rotā
us ne rakhne ko mujhe dī thī amānat apnī
Top Urdushayar.com