Jameela Khuda Bakhsh

mumkin nahin dawa hai is aazar ke liye

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
mumkin nahīñ davā hai is āzār ke liye
behtar hai maut āshiq-e-bīmār ke liye
mar kar huā huuñ ḳhaak dar-e-yār ke liye
saaya banā huuñ maiñ tirī dīvār ke liye
dām-e-balā-e-hastī-e-mauhūm meñ phañsā
behtar yahī sazā thī gunāhgār ke liye
kyuuñ kar raqīb aa.eñ na mahfil meñ aap kī
hai ḳhaar gul ke vāste gul ḳhaar ke liye
pā-bosiyoñ ke shauq meñ apnā ye lauh-e-dil
ik ḳhaal ban gayā qadam-e-yār ke liye
jalva dikhā de ḳhvāb meñ bahr-e-ḳhudā mujhe
āñkheñ taras ga.iiñ tire dīdār ke liye
bachchoñ kī tarah ham ne is āġhosh-e-nāz meñ
paalā thā dil ko tujh se dil-āzār ke liye
ab shaiḳh-o-barahman mire dāman ke taar ko
aate haiñ lene sub.ha-o-zunnār ke liye
monis jo ek dil thā vo ghul kar firāq se
aañsū banā hai chashm-e-guhar-bār ke liye
us ruḳh ko dekhte hī dil-e-zār ne kahā
zebā hai ġhāza aisā hī ruḳhsār ke liye
kyā hāl-e-dil sunā.ūñ 'jamīla' ki zo.af se
quvvat zabāñ meñ chāhiye iz.hār ke liye
Top Urdushayar.com