tumhāre diid kī hasrat bahut mushkil se niklegī
duā ban kar shab-e-ġham vo hamāre dil se niklegī
ḳhabar kyā thī ki terī kaj-adā.ī se but-e-rā.anā
bisān-e-sham.a ro kar aarzū mahfil se niklegī
tamannā rafta rafta rañg kuchh dikhlā.egī apnā
banegī nūr-e-jāñ aur dīda-e-kāmil se niklegī
bisān-e-nik.hat-e-gul chhup nahīñ saktī chhupāne se
ye bū-e-ḳhūn-e-āshiq dāman-e-qātil se niklegī
nihāñ kyā ḳhaak hogī hasrat-e-dīdār āshiq kī
vo ik din yaas ban kar dīda-e-bismil se niklegī
dikhā.egī mohabbat ek din un ko asar apnā
samā.ī dil meñ jo un ke vo mere dil se niklegī
tasavvur jānib-e-dil chāhiye majnūñ tujhe karnā
tū jis lailā kā āshiq hai vo is mahmil se niklegī
Thahar jā naqa-e-dilbar ki maiñ chūmūñ qadam tere
sadā ye musht-e-ḳhāk-e-āshiq-e-be-dil se niklegī
zabāñ se nāla-o-fariyād karnā hai abas terā
'jamīla' vo duā kaam aa.egī jo dil se niklegī