ishq ko dil meñ chhupā lete haiñ kāmil kyūñkar
un par āsān huā kartī hai mushkil kyūñkar
hadaf-e-nāvik-e-mizgān-o-kamāñ abrū thā
na taḌaptā shab-e-furqat dil-e-bismil kyūñkar
apne bīmār-e-mohabbat ko bhī lete jaao
tum chale jaate ho pahlū meñ rahe dil kyūñkar
sar kaTā kar tire kūche meñ yahī dekhūñgā
suraḳh-rū hotā hai ḳhanjar tirā qātil kyūñkar
mir.at-e-dil kī safā.ī vo kahāñ pā.egā
aa.ina hogā ruḳh-e-yār ke qābil kyūñkar
ye tamāshā bhī mire dil ko jilā kar dekho
sham.a hasrat se jalī bar-sar-e-mahfil kyūñkar
bahr-e-ulfat meñ bhī vahshat thī dil-e-ġham-ghīñ ko
rakhtā āġhosh meñ phir dāman-e-sāhil kyūñkar
dekhnā lutf dam-e-qatl zarā ai qātil
ḳhāk-o-ḳhūñ meñ huā ġhaltāñ tirā bismil kyūñkar
zer-e-ḳhanjar mire ḳhuuñ ne use uḌ kar thāmā
us ke panje se chhuTe dāman-e-qātil kyuuñ kar
dekhnā gar ho to aao maiñ dikhā duuñ tum ko
ban gayā sheḳh-e-haram but-kada-e-dil kyūñkar
rāz-e-sar-basta 'jamīla' maiñ kahūñ kyā tujh se
ho gayā merā ye dil ārif-e-kāmil kyūñkar