tumhāre dekhne ko hasrat-e-hairat-fazā Thahrī
dil-e-mahzūñ se niklī dīda-e-bismil meñ aa Thahrī
tasavvur yaar kā thā sāmne aatī qazā kyuuñ kar
sar-e-bālīñ dam-e-murdan ba-shakl-e-dil-rubā Thahrī
jhukāyā bār-e-isyāñ ne hamāre dast-e-hasrat ko
pahuñch kar tā-ba-lab jis kī nadāmat se duā Thahrī
tumhārī jumbish-e-abrū se ghāyal ho ga.e āshiq
ban aa.ī jaan par un kī tumhārī ik adā Thahrī
usī andāz ne vīrāñ kiyā hai mere pahlū ko
dil-e-āshiq ke lene ko in āñkhoñ meñ ziyā Thahrī
sabā ke tez jhoñkoñ ne phirāyā dar-ba-dar us ko
zamīñ par chain se kis dam ye ḳhāk-e-mubtalā Thahrī
jalāyā muskurā kar aur adā se kar diyā murda
kahīñ to ye jafā Thahrī kisī jā par vafā Thahrī
basān-e-ḳhūn-e-dil chaspāñ huī hai tere talvoñ se
hamārī dushman-e-jāñ ab ye shoḳhī-e-ziyā Thahrī
ilāhī kyā mire dilbar ne kholā apne gesū ko
mashām-e-jāñ meñ apne aa ke bū-e-jāñ-fizā Thahrī
tumhārī bad-duā se lutf miltā hai mire dil ko
maiñ āshiq huuñ tumhārā vo mire haq meñ duā Thahrī
farishtoñ ne pukārā ai 'jamīla' jald hāzir ho
ḳhudā ke rū-ba-rū aa kar saf-e-ahl-e-safā Thahrī