Jameela Khuda Bakhsh

ai sanam talib nahin wo KHuld se gulzar ka

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
ai sanam tālib nahīñ vo ḳhuld se gulzār kā
mubtalā ko chāhiye saaya tirī dīvār kā
mehmāñ hai koī dam kā yā koī saa.at kā vo
haal ab dekhā nahīñ jaatā tire bīmār kā
ḳhūbsūrat gauhar-e-ḳhush-āb kī har ik laḌī
silsila kaisā bañdhā hai āñsuoñ ke taar kā
ghar kiyā hai ai sanam us meñ tirī tasvīr ne
band honā ġhair-mumkin dīda-e-dīdār kā
zindagānī kā mazā kyā kyā nahīñ dikhlā gayā
is mire dil ke makāñ meñ chhup ke aanā yaar kā
kījiye nazr-e-butāñ ab shauq se īmān-o-dil
kyā pahannā sahl samjhā aap ne zunnār kā
khol kar pur-kaif āñkheñ dekhte haiñ vo idhar
lījiye vo khul gayā ab ḳhāna-e-ḳhummār kā
dekhne ko taab kyā ho tālib-e-dīdār kā
nuur se shams-o-qamar meñ tere hī ruḳhsār kā
āsiyoñ ke jurm ko vo hashr meñ ifshā kare
ai 'jamīla' kaam ye hargiz nahīñ hushiyār kā
Top Urdushayar.com