Jameela Khuda Bakhsh

girne ka bahut Dar hai ai dil na phisal jaana

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
girne kā bahut Dar hai ai dil na phisal jaanā
is bām-e-mohabbat par mushkil hai sambhal jaanā
dil merī sune kyūñkar samjhā.ūñ use kyā maiñ
vahshat ne sikhāyā hai qaabū se nikal jaanā
vo tere faqīroñ ko āñkhoñ se zarā dekhe
jis ne nahīñ dekhā hai qismat kā badal jaanā
dikhlāo ruḳh-e-zebā tā mujh ko qarār aa.e
āsāñ nahīñ āshiq kā bātoñ meñ bahal jaanā
kamzor kiyā mujh ko ab zo.af-e-naqāhat ne
ai ishq zarā mere pahlū ko badal jaanā
jalnā tumheñ is dil kā maiñ aaj dikhā.ūñgā
tum ne nahīñ dekhā hai ik parche kā jal jaanā
āshiq tirī mahfil se uThtā hai yahī kah kar
yaañ majma-e-dushman hai ab chāhiye Tal jaanā
sar-gashtagī-e-āshiq kyā tum ko batā.ūñ maiñ
taqdīr badalnā hai āñkhoñ kā badal jaanā
nādān tabīboñ ko kyā nabz dikhā.ūñ maiñ
āzār-e-mohabbat ko saudā kā ḳhalal jaanā
vahshat hai fuzūñ dil kī tanhā na chalā jaa.e
lāzim hai 'jamīla' ab sahrā ko nikal jaanā
Top Urdushayar.com