sozish-e-shola-e-furqat se fanā ho jaanā
maraz-e-ġham ke liye hai ye davā ho jaanā
sahl hai nāvak-e-mizhgāñ kā qazā ho jaanā
ġhamza-e-chashm kā āsāñ hai jafā ho jaanā
aarzū tujh se ye kahtā huuñ shab-e-furqat meñ
ḳhud duā honā kabhī dast-e-duā ho jaanā
sūrat-e-ḳhāk-e-gulistāñ meñ na rahnā ai dil
misl-e-bū dāman-e-gulshan se judā ho jaanā
daaġh ban kar to rahā dāman-e-qātil pe magar
bū-e-ḳhūñ bahr-e-ḳhudā bū-e-vafā ho jaanā
be-qarārī se to rāhat ho koī dam hāsil
jism se jān-e-hazīñ jald judā ho jaanā
shab-e-ġham dil se 'jamīla' ne yahī ro ke kahā
mil ke miTTī meñ to naqsh-e-kaf-e-pā ho jaanā