Jameela Khuda Bakhsh

pahlu ko tere ishq mein viran nahin dekha

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
pahlū ko tire ishq meñ vīrāñ nahīñ dekhā
is dil ko kabhī ḳhālī-az-armāñ nahīñ dekhā
sūrat ko mirī dekh ke hairat hai tumheñ kyā
tum ne to mirā hāl-e-pareshāñ nahīñ dekhā
muusā hue behosh tajallī-e-laqā se
tālib the magar jalva-e-jānāñ nahīñ dekhā
rote haiñ gunāhoñ pe vahī jin meñ hai īmāñ
kāfir ko kabhī ham ne pashemāñ nahīñ dekhā
dekhā jo mirā dāġh-e-jigar hañs ke vo bole
aisā to charāġh-e-tah-e-dāmāñ nahīñ dekhā
ai dard-e-jigar chain zarā lene de mujh ko
tujh sā bhī koī jaan kā ḳhvāhāñ nahīñ dekhā
sar kaT ke girā shauq se qātil ke qadam par
aisā bhī koī banda-e-ehsāñ nahīñ dekhā
rone pe mirī tum ko tahayyur ye abas hai
kyā tum ne kabhī abr ko giryāñ nahīñ dekhā
dekhī hai bahut aap ne ā.īne kī hairat
āshiq kā magar dīda-e-hairāñ nahīñ dekhā
sar-gashta vo sahrā-e-musībat meñ na hogā
jis ne tirī zulfoñ ko pareshāñ nahīñ dekhā
pūchhā jo 'jamīla' se to vo mujh se ye bole
dil sā to koī dūsrā aivāñ nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com