Jameela Khuda Bakhsh

tu hai kaba mein to phir dil mein guzar kis ka hai

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
tū hai ka.aba meñ to phir dil meñ guzar kis kā hai
lā-makāñ terā agar hai to ye ghar kis kā hai
rokne aa.eñ farishte to maiñ ruk jā.ūñgā
tālib-e-dīd huuñ terā mujhe Dar kis kā hai
saaf qadmoñ se tire jā ke lipaT jā.egā
tere āshiq ke sivā aisā jigar kis kā hai
dil to āġhāz-e-mohabbat meñ huā hai terā
apnī gardan pe hai jo baar ye sar kis kā hai
qais-e-vahshī kā banāyā mujhe saanī kis ne
ishq-e-sādiq kā nahīñ hai to asar kis kā hai
tere inkār ne Daalā hai tahayyur meñ mujhe
dil meñ aur āñkhoñ meñ dar-parda guzar kis kā hai
kyā tamāshā hai 'jamīla' ki vo pūchhe mujh se
dasht-e-ġhurbat meñ ye dil ḳhāk-basar kis kā hai
Top Urdushayar.com