Jameela Khuda Bakhsh

kar diya zulf-e-pareshan sa pareshan mujhko

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
kar diyā zulf-e-pareshāñ sā pareshāñ mujh ko
dasht meñ chhoḌ gayā hai dil-e-nādāñ mujh ko
dāġh-e-yārān-e-vatan thā jo dil-e-mahzūñ meñ
vo nazar aayā charāġh-e-tah-e-dāmāñ mujh ko
jāñ-kanī se kahīñ achchhā hai mirā mar jaanā
nīm-bismil na banā nāvak-e-mizhgāñ mujh ko
jalva-e-sub.h-e-qayāmat kā maza detā hai
chāk-e-dil chāk-e-jigar chāk-e-garebāñ mujh ko
murġh-e-dil daam meñ gesū ke ulajh kar na kahe
ho mubārak tumheñ gulshan to ye zindāñ mujh ko
jalva-e-husn-e-ḳhudā-dād dikhā kar dilbar
misl-e-ā.īna kiyā aap ne hairāñ mujh ko
apnā apnā ye muqaddar hai kahūñ kyā vaa.iz
mahfil-e-va.az tujhe mahfil-e-rindāñ mujh ko
apnī tanhā.ī pe rotā huuñ baḌī hasrat se
apnā pahlū jo nazar aatā hai vīrāñ mujh ko
ġhuncha-e-zaḳhm-e-jigar khil ke dikhā dete haiñ
chaman-e-ishq sanam kā gul-e-ḳhandāñ mujh ko
mehmāñ gosha-e-turbat kā mujhe honā hai
kyuuñ na marġhūb ho ye gor-e-ġharībāñ mujh ko
minnateñ maut kī kartā huuñ to vo kahtī hai
zindagī ne to kiyā terā nigahbāñ mujh ko
sher-goī nahīñ sīkhī hai 'jamīla' maiñ ne
merī fitrat ne kiyā sāhab-e-dīvāñ mujh ko
Top Urdushayar.com