Jameela Khuda Bakhsh

hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
hujūm-e-rañj-o-alam hai ye nīm-jāñ ke liye
jafā vo karte haiñ āshiq pe imtihāñ ke liye
butoñ ke jaur-o-jafā par maiñ sabr kartā huuñ
yahāñ ke vāste kuchh hai to kuchh vahāñ ke liye
ḳhudā ke vāste rahne de apne dar pe use
banā hai sañg ye dil tere āstāñ ke liye
hamāre pahlū-e-ġhamgīñ meñ haif ye dil-e-zār
nazākatoñ se palā ulfat-e-butāñ ke liye
Tapak ke dīda-e-pur-nam se kyuuñ na gir jaatā
banā lahū mirā dil chashm-e-ḳhūñ-chakāñ ke liye
havā-e-tund ḳhudā ke liye na chheḌ mujhe
ġhubār-e-rāh banā huuñ maiñ kārvāñ ke liye
kiyā hai dard-e-dil-e-zār ne use aajiz
laboñ pe jān-e-hazīñ aa.ī hai fuġhāñ ke liye
'jamīla' tā-dar-e-mahbūb kis tarah jā.ūñ
qadam uThānā hai dushvār nā-tavāñ ke liye
Top Urdushayar.com