aaj qaabū meñ ye mizāj nahīñ
be-ḳhudī kā koī ilaaj nahīñ
vaqt-e-āḳhir hai merā jaao tabīb
ab davā kī to ehtiyāj nahīñ
ahd meñ mere shāh-e-ḳhūbāñ ke
sitam-o-zulm kā rivāj nahīñ
mujh ko dikhlā do rū-e-ġhaus-e-ḳhudā
aur koī mirā ilaaj nahīñ
kam nahīñ faqr bādshāhī se
kuchh tamannā-e-taḳht-o-tāj nahīñ
shāh-e-ḳhūbāñ ke vāste hargiz
ġhair-az-dil koī ḳhirāj nahīñ
haf-iqlīm nazr-e-shah karte
ai 'jamīla' hamārā raaj nahīñ