Jameela Khuda Bakhsh

mushkil hai ki pahlu se juda dil nahin hota

Jameela Khuda Bakhsh

Kolkata, West Bengal, India

1861-1921
mushkil hai ki pahlū se judā dil nahīñ hotā
aur mere satāne se vo ġhāfil nahīñ hotā
parde meñ agar us ke mirā dil nahīñ hotā
ā.īna ruḳh-e-yār ke qābil nahīñ hotā
jab qasd musammam hai to har kaar hai āsāñ
jo kaam ki mushkil hai vo mushkil nahīñ hotā
gar parda-nashīnī tujhe manzūr thī dilbar
dil merā tire vāste mahmil nahīñ hotā
mai-ḳhāna ko jaatā huuñ ye takrār abas hai
nāseh to kisī taur se qaa.il nahīñ hotā
saffāk kahā maiñ unheñ hañs ke vo bole
har sāhab-e-shamshīr to qātil nahīñ hotā
dīdār-talab kā tālib hai use jalva dikhā de
āshiq tū zar-o-māl kā saa.il nahīñ hotā
vo nūr-e-mubīñ jo ki tajallī-e-laqā hai
us kā ba-juz aadam koī hāmil nahīñ hotā
merā to patā ḳhaak bhī rahtā na 'jamīla'
gar fazl-e-ilāhī mire shāmil nahīñ hotā
Top Urdushayar.com