Iram Lakhnavi

apne gharib dil ki baat karte hain raegan kahan

Iram Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1910-1967
apne ġharīb dil kī baat karte haiñ rā.egāñ kahāñ
ye bhī na ham samajh sake apnā koī yahāñ kahāñ
un ke liye vo āsmān merā guzar vahāñ kahāñ
mere liye yahī zamīn ā.eñge vo yahāñ kahāñ
sāmnā un kā jab huā āñkhoñ ne jo kahā kahā
dil meñ hazār ishtiyāq un meñ magar zabāñ kahāñ
uf ye ma.āl-e-justajū ba.ad-e-kamāl-e-justajū
pahuñche vahī jagah kahne lagī yahāñ kahāñ
hadd-e-nazar kā hai fareb qurb-e-zamīn-o-āsmāñ
varna mirī zamīn se miltā hai āsmāñ kahāñ
husn kā pāsbān ishq ishq kā pāsbān dil
dil kā hai pāsbān hosh hosh kā pāsbāñ kahāñ
manzil-e-āshiqī se kam rukne kī jā nahīñ 'iram'
ye to abhī hai rah-guzar baiTh ga.e yahāñ kahāñ
Top Urdushayar.com