Iram Lakhnavi

jise main samajhta hun qatil yahi hai

Iram Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1910-1967
jise maiñ samajhtā huuñ qātil yahī hai
mohabbat isī se hai mushkil yahī hai
adāvat huī barq se bāġhbāñ se
nasheman banāne kā hāsil yahī hai
taḌapnā barābar taḌapte hī rahnā
tire dar pe andāz-e-bismil yahī hai
bahut duur manzil magar har qadam par
thakan kā taqāzā ki manzil yahī hai
mire qatl kā zikr hai aur vo chup hai
ḳhamoshī na kah de ki qātil yahī hai
mujhe to hañsī apne ġham par na aatī
magar kyā karūñ rañg-e-mahfil yahī hai
vahāñ se 'iram' ham haTā laa.e kashtī
yahāñ ye samajhnā thā sāhil yahī hai
Top Urdushayar.com