ham bāġh-e-tamannā meñ din apne guzār aa.e
aa.e na bahār āḳhir shāyad na bahār aa.e
rañg un ke talavvun kā chhāyā rahā mahfil par
kuchh sīna-figār uTThe kuchh sīna-figār aa.e
fitrat hī mohabbat kī duniyā se nirālī hai
ho dard sivā jitnā utnā hī qarār aa.e
kyā husn-e-tabī.at hai kyā ishq kī zīnat hai
dil miT ke qarār aa.e rañg uḌ ke nikhār aa.e
dar se tire Takrāyā ik na.ara-e-mastāna
be-nām liye terā ham tujh ko pukār aa.e
tasvīr banī dekhī ik jān-e-tamannā kī
aañsū mirī āñkhoñ meñ kyā silsila-vār aa.e
kuchh un se na kahnā hī thī fat.h mohabbat kī
jiitī huī baazī ko ham jaan ke haar aa.e
is darja vo pyāre haiñ kahte hī nahīñ bantā
kyā aur kahā jaa.e jab aur bhī pyaar aa.e
is bazm meñ ham āḳhir pahuñche bhī to kyā paayā
dil hī kī dabī choTeñ kuchh aur ubhār aa.e