Iram Lakhnavi

duniya ka gham hi kya gham-e-ulfat ke samne

Iram Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1910-1967
duniyā kā ġham hī kyā ġham-e-ulfat ke sāmne
bātil hai be-vajūd haqīqat ke sāmne
hasrat se chup huuñ maiñ tirī sūrat ke sāmne
jaise gunāhgār ho jannat ke sāmne
rusvā.iyāñ hazār hoñ barbādiyāñ hazār
parvā kise hai terī mohabbat ke sāmne
ai nāz-e-ishq dār-o-rasan kī bisāt kyā
mere vufūr-e-shauq-e-shahādat ke sāmne
ai husn-e-be-misāl majāl aa.ine kī kyā
jo aa sake kabhī tirī sūrat ke sāmne
ābādiyoñ ko chhoḌ ke ḳhush ho gayā thā maiñ
sahrā bhī tañg hai mirī vahshat ke sāmne
lākhoñ hijāb husn ko ghere raheñ magar
Thahre haiñ kab nigāh-e-mohabbat ke sāmne
kitne pahāḌ rāh-e-vafā meñ kaTe 'iram'
kitne abhī haiñ aur musībat ke sāmne
Top Urdushayar.com