pūchhī na chashm-e-tar kī na āh-e-rasā kī baat
karte rahe vo mujh se bas āb-o-havā kī baat
kyā baat maiñ se baat nikaltī chalī ga.ī
thā mudda.ā yahī ki na ho mudda.ā kī baat
rasm-o-rah-e-jahāñ kī sifārish rahī magar
phir bhī to aane paa.ī na ahl-e-vafā kī baat
kyā rasm-e-iltifāt zamāne se uTh ga.ī
sab kī zabāñ par hai sitam-e-nā-ravā kī baat
tūfāñ kā ḳhatra sun ke na kar ḳhauf is qadar
āḳhir ḳhudā kī baat nahīñ nāḳhudā kī baat
goyā 'asad' hai dil kī zabāñ dil kā aa.ina
kis darja saaf hotī hai ahl-e-safā kī baat