tamāshā hai ki sab āzād qaumeñ
bahī jaatī haiñ āzādī kī rau meñ
vo gard-e-kārvāñ ban ke chale haiñ
sitāre the ravāñ jin ke jilau meñ
safar kaisā faqat āvārgī hai
nahīñ manzil nigāh-e-rāh-rau meñ
hai soz-e-dil hī rāz-e-zindagānī
hayāt-e-sham.a hai sirf us kī lau meñ
bahut the ham-zabāñ lekin jo dekhā
na niklā ek bhī hamdard sau maiñ
'asad' saaqī kī hai dohrī ināyat
sharāb-e-kohna Daalī jām-e-nau meñ