in aql ke bandoñ meñ āshufta-sarī kyuuñ hai
ye tañg-dilī kyuuñ hai ye kam-nazarī kyuuñ hai
asrār agar samjhe duniyā kī har ik shai ke
ḳhud apnī haqīqat se ye be-ḳhabarī kyuuñ hai
sau jalve haiñ nazroñ se mānind-e-nazar pinhāñ
dāvā-e-jahāñ-bīnī ai dīda-varī kyuuñ hai
hal jin kā amal se hai paikār-o-jadal se hai
in zinda masā.il par bahs-e-nazarī kyuuñ hai
to dekh tire dil meñ hai soz-e-talab kitnā
mat pūchh duāoñ meñ ye be-asarī kyuuñ hai
ai gul jo bahār aa.ī hai vaqt-e-ḳhud-ārā.ī
ye rañg-e-junūñ kaisā ye jāma-darī kyuuñ hai
vaa.iz ko jo aadat hai pechīda-bayānī kī
hairāñ hai ki rindoñ kī har baat kharī kyuuñ hai
miltā hai use paanī ashkoñ kī ravānī hai
ma.alūm huā khetī zaḳhmoñ kī harī kyuuñ hai
ulfat ko 'asad' kitnā āsān samajhtā thā
ab nāla-e-shab kyuuñ hai āh-e-saharī kyuuñ hai