Mohammad Amir Alvi Amir

hawa ki zid mein hamein ab dua jalana hai

Mohammad Amir Alvi Amir

Rampur, Uttar pradesh, India

1960
havā kī zid meñ hameñ ab duā jalānā hai
ki hausloñ ko zamāne ke āzmānā hai
gire daraḳht nahīñ ham ki phal na pā.eñge
ye aur baat jaḌoñ ko abhī zamāna hai
dīvāne Darte nahīñ āñdhiyoñ se vo jin ko
ki ret kā hī sahī ghar magar banānā hai
usī se maiñ ne duā yuuñ hamesha hī māñgī
agar vo but hai to us ko ḳhudā banānā hai
haiñ uñgliyoñ meñ phañse jism chīḳhtī rūheñ
unheñ to bhuuk magar bachchoñ kī miTānā hai
maiñ huuñ to ḳhaak magar ḳhushbuoñ sī hai qismat
havā ke saath fazā meñ bikhar hī jaanā hai
Top Urdushayar.com