tumheñ dekhā auroñ pe ehsān karte
faqat rah ga.e ham hī armān karte
salīqa nahīñ jab nibhāne kā ham ko
mohabbat tujhe kyuuñ pashemān karte
tirā aa.ina bhī tirā aks bhī maiñ
tirī log mujh se hī pahchān karte
hai ye zindagī ret kā ik gharauñdā
bhalā kyuuñ havāoñ ko mehmān karte
sitam ye hai apnoñ se khāyā hai dhokā
yahī kaam ai kaash anjān karte
uḌaa.ī na āñgan se ghaḌiyāñ chahaktī
ki vīrāne ko aur sunsān karte