jāntī huuñ ki vo ḳhafā bhī nahīñ
dil kisī taur māntā bhī nahīñ
kyā vafā o jafā kī baat kareñ
darmiyāñ ab to kuchh rahā bhī nahīñ
dard vo bhī sahā hai tere liye
merī qismat meñ jo likhā bhī nahīñ
har tamannā sarāb bantī rahī
in sarāboñ kī intihā bhī nahīñ
haañ charāġhāñ kī kaifiyat thī kabhī
ab to palkoñ pe ik diyā bhī nahīñ
dil ko ab tak yaqīn aa na sakā
yuuñ nahīñ hai ki vo milā bhī nahīñ
vaqt itnā guzar chukā hai 'hinā'
jaane vaale se ab gila bhī nahīñ