yahāñ hai dhuup vahāñ saa.e haiñ chale jaao
ye log lene tumheñ aa.e haiñ chale jaao
bulāvā aayā hai jaane meñ koī harj nahīñ
yahāñ bhī dukh hī sadā paa.e haiñ chale jaao
vo jis ke vāste bulvāyā jā rahā hai tumheñ
agar ye log use laa.e haiñ chale jaao
paḌe rahoge yahāñ kab talak bure hāloñ
vahāñ to husn ke sarmā.e haiñ chale jaao
maiñ kyā batā.ūñ vahāñ kyā hai jo nahīñ hai yahāñ
nashāt-e-rūh ke pairā.e haiñ chale jaao
maiñ rok pā.ūñgā aañsū na ruḳhsatī pe magar
kahār Dolī jo le aa.e haiñ chale jaao
tumheñ to qabr kī miTTī bhī ab pukārtī hai
yahāñ ke log bhī uktā.e haiñ chale jaao
gurez itnā bhī sābir-'zafar' nahīñ achchhā
payām us ne jo bhijvā.e haiñ chale jaao