Khalid Irfan

naujawan log pajame ko bura kahte hain

Khalid Irfan

naujavāñ log pajāme ko burā kahte haiñ
painT phaT jaa.e to qismat kā likhā kahte haiñ
apne ash.ār meñ jum.a ko jumā kahte haiñ
aise ustād ko faḳhrushshuarā kahte haiñ
nazm ko gift rubā.ī ko atā kahte haiñ
sher vo ḳhud nahīñ kahte haiñ chachā kahte haiñ
i-m-f ko samajhte haiñ ma.īshat kā ilaaj
log al-kuhl ko khāñsī kī davā kahte haiñ
ye to chaltī nahīñ p-m kī ijāzat ke baġhair
is ko aivān-e-sadārat kī havā kahte haiñ
jaane kab is meñ hameñ aag lagānī paḌ jaa.e
ham siyāsat ke janāze ko chitā kahte haiñ
jab se bachchoñ ko pasand aa.ī haiñ hindī filmeñ
mujh ko abbā nahīñ kahte vo pitā kahte haiñ
merī baarī pe hukūmat hī badal jaatī hai
ab vazārat ko ġhubāre kī havā kahte haiñ
load-shedding kī shikāyat pe dolattī maare
log bijlī ke minister ko gadhā kahte haiñ
bhuuk taḳhlīq kā talent baḌhā detī hai
peT ḳhālī ho to ham sher nayā kahte haiñ
Top Urdushayar.com