Khalid Irfan

kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT

Khalid Irfan

kaisā ajiib aayā hai is saal kā bajaT
murġhī kā jo bajaT hai vahī daal kā bajaT
jitnī hai ik clerk kī tanḳhvāh aaj kal
utnā hai begamāt ke ik gaal kā bajaT
sirf ek din meñ biis musāfir hue halāk
hāzir hai sā.īñ gulshan-e-iqbāl kā bajaT
T.v kā ye mazāq adīboñ ke saath hai
shā.er se dugnā rakh diyā qavvāl kā bajaT
bichhḌe the jab ye log mahīna thā june kā
sohnī banā rahī thī mahīñvāl kā bajaT
dāmād ko nikāl ke jab bhī huā hai pesh
sāloñ ne paas kar diyā sasurāl kā bajaT
biktī hai ab kitāb bhī cassette ke rate pe
kaise banegā 'ġhālib' o 'iqbāl' kā bajaT
maañ kah rahī thī rañg lipstick ke dekh kar
chaT kar diyā bahū ne mire laal kā bajaT
donoñ bane haiñ bā.is-e-taklīf āj-kal
'is.hāq'-Dār aur na.e saal kā bajaT
Top Urdushayar.com