Khalid Irfan

gulshan-e-ishq mein ghuncha bhi kali hota hai

Khalid Irfan

gulshan-e-ishq meñ ġhuncha bhī kalī hotā hai
naam āshiq kā bhī ma.ashūq-alī hotā hai
ḳhaan kahtā hai vahāñ mūñ-gphalī hotā hai
phuul hotī hai pishāvar meñ kalī hotā hai
jab vo paḌhtī hai tarannum se ġhazal kā matl.a
us kī āñkhoñ meñ bhī ītā-e-jalī hotā hai
ek biivī pe jo kartā hai qanā.at tā-umr
vo to shauhar nahīñ hotā hai valī hotā hai
saas ne aaj khilā.ī hai jalebī mujh ko
niim kā peḌ bhī misrī kī Dalī hotā hai
marshall-law kā maiñ haamī to nahīñ huuñ lekin
daur-e-jamhūr bhī ab band galī hotā hai
jis ke lahje meñ ho shā.istagī-e-tañz-e-latīf
aisā shā.er hī zarīf-e-azalī hotā hai
Top Urdushayar.com