duāoñ kī zarūrat hai davā meñ kuchh nahīñ rakkhā
chachī meñ jaan baaqī hai chachā meñ kuchh nahīñ rakkhā
garebāñ ke baTan sar kā dupaTTa aañkh kā parda
tumhārī artificial hayā meñ kuchh nahīñ rakkhā
rabar ke dastaḳhat patthar ke afsar mom ke kāġhaz
jab andar se TaTolā nādirā meñ kuchh nahīñ rakkhā
jo tum parfum meñ Dupkī lagā kar roz aatī ho
fazā tum se mo.attar hai havā meñ kuchh nahīñ rakkhā
mohalle meñ unheñ kahte haiñ sab sharrunnisā-begam
to ye sābit huā ḳhairunnisā meñ kuchh nahīñ rakkhā
mrs. iqbāl paanī maañg ke piitī haiñ shauhar se
phir is ke ba.ad kahtī haiñ piyā meñ kuchh nahīñ rakkhā
mohabbat se jo ḳhālī ho vo dil be-kār hotā hai
ḳhalā meñ jā.iye bait-ul-ḳhalā meñ kuchh nahīñ rakkhā
vo make-up ke sahāre ban ga.ī filmoñ kī heroine
na ho nāz-o-adā to nāziya meñ kuchh nahīñ rakkhā
hamārī nasl ke ḳhālī kanastar ye batāte haiñ
talo meñ kuchh nahīñ hai DālDā meñ kuchh nahīñ rakkhā
to ye noToñ kī ḳhushbū kaun sī pocket se aa.ī hai
maiñ kaise maan luuñ band-e-qabā meñ kuchh nahīñ rakkhā