kāġhaz kī paleToñ meñ khāne kā taqāza hai
hālāt ke shāne pe culture kā janāza hai
milne kī guzārish par mub.ham sā javāb aayā
chūñki hai chunāñche hai garche hai lihāzā hai
ab ghar ke darīche meñ aa.egī havā kaise
aage bhī plaza hai pīchhe bhī plāzā hai
tum aqd-e-musalsal se daadā ko nahīñ roko
shādī kī zarūrat to fitrat kā taqāzā hai
daulat kā zarā sā bhī izzat se nahīñ rishta
allāh ne leader ko daulat se navāzā hai
me.ayār-e-imārat se sheroñ ko nahīñ naapo
roTī mirī baasī hai lahja mirā taaza hai