shā.er mushā.ere ke liye maan to gayā
lekin janāb-e-'mīr' kā dīvān to gayā
jis din huā thā nine-eleven kā vāqi.a
gore samajh rahe the musalmān to gayā
E-N-T kā ek muālij hai merā dost
ab naak jaane vaalī hai ye kaan to gayā
dillī ke gest-rōm meñ us ne kahā uTho
nalke meñ jal nahīñ hai ab ashnān to gayā
begam P.I.A se karāchī chalī ga.iiñ
ab ham bhī jaane vaale haiñ sāmān to gayā
kyā pāT-dār tum ne sunā.ī hai ik ġhazal
mujh ko ye lag rahā hai mirā kaan to gayā