Khalid Irfan

main corruption ki fazilat ko kahan samjha tha

Khalid Irfan

maiñ corruption kī fazīlat ko kahāñ samjhā thā
bahr-e-zulmāt ko chhoTā sā kuaañ samjhā thā
phir bajaT us ne girāyā hai hathauḌe kī tarah
vo hukūmat ko bhī lohe kī dukāñ samjhā thā
tāj-mahaloñ kī jagah tum ne banā.īñ qabreñ
leadaro ham ne tumheñ shāh-jahāñ samjhā thā
khiḌkiyāñ toḌ gayā vo sabhī jaate jaate
mere dil ko jo kirā.e kā makāñ samjhā thā
pā.eñche jeans ke Taḳhnoñ se bahut uupar the
maiñ surayyā ko surayyā kā miyāñ samjhā thā
maañ ne beTī se kahā terī ḳhatā hai is meñ
tū ne sasurāl meñ kyuuñ saas ko maañ samjhā thā
yuuñ buḌhāpe meñ na tum chhoḌ ke vāpas jaao
bīvīyo tum ne kabhī mujh ko miyāñ samjhā thā
Top Urdushayar.com