sehat achchhī na ho to zulf-e-nisvānī se bachnā
fishār-e-ḳhūñ ke hamle meñ namak-dānī se bachnā
na ho income to bachchoñ kī farāvānī se bachnā
ġharībī meñ faroġh-e-nasl-e-insānī se bachnā
bahut mushkil hai begam kī nigahbānī se bachnā
samundar meñ bhī rahnā aur tuġhyānī se bachnā
guzishta ahd meñ dhoka bahut khāyā hai tum ne
magar is baar 'zardārī' o 'gīlānī' se bachnā
ḳhudā tum ko vazīr-e-bijlī-o-pānī banā de
to phir tum sārafīn-e-bijlī-o-pānī se bachnā
ḳhudā ke ghar meñ visa-card kā system nahīñ hai
credit-card ke bakre kī qurbānī se bachnā
tumheñ lahore ke fōtpath kā permit milā hai
lihāzā rā.e-vinD ke qasr-e-sultānī se bachnā
tumheñ ai 'ḳhālid'-e-irfān merā mashvara hai
ġhazal kahnā magar har jā ġhazal-ḳhvānī se bachnā