miyān-e-hind-o-pakistan ik sarhad kā jhagḌā hai
vagarna is imārat ke manāre ek jaise haiñ
karachi kā kitchen ho yā vo dakkan kī rasoī ho
namak kā farq hai baigan baghāre ek jaise haiñ
pajāmoñ ke design ko badal Daalā to kyā ġham hai
hamārī bīviyoñ ke to ġharāre ek jaise haiñ
pareshāñ-hāl hai public magar donoñ mamālik ke
mirāsī cricketer filmī-sitāre ek jaise haiñ
kuñvāre log to har mulk meñ āzād phirte haiñ
magar shādī-shuda qismat ke maare ek jaise haiñ
barā.e-aqd-ḳhvānī qāziyoñ meñ farq hai lekin
karachi aur dillī ke chuvāre ek jaise haiñ
kuñvāra aadmī ho yā koī āzād leader ho
jo be-peñde ke lauTe haiñ vo saare ek jaise haiñ
nikamme rahnumā aur aql se paidal siyāsat-dāñ
hamāre ek jaise haiñ tumhāre ek jaise haiñ
yahāñ kā 'ḳhālid-e-irfāñ' vahāñ ke 'rāhat-indorī'
nire shā.ir haiñ donoñ ke sitāre ek jaise haiñ