muztarib haiñ vaqt ke zarrāt sūraj se kaho
aa ga.ī kyuuñ aag kī barsāt sūraj se kaho
ham haiñ aur sho.aloñ kī lapTeñ baḌh rahī haiñ har taraf
kyā huī vo chhāñv kī ik baat sūraj se kaho
nāchte haiñ ye bhayānak saa.e āḳhir kis liye
zer-e-lab kyā kah rahī hai raat sūraj se kaho
ek taptā dasht hai aur saath koī bhī nahīñ
kis safar meñ hai akelī zaat sūraj se kaho
reñgte haiñ naag andeshoñ ke sāñsoñ meñ yahāñ
Dhalne meñ aatī nahīñ hai raat sūraj se kaho
zo.am hone kā rahā ik umr ham ko aur aaj
jal ga.e sab dhuup meñ jazbāt sūraj se kaho