lamha lamha kah rahī haiñ kuchh fazā.eñ aag kī
zarra zarra aa rahī haiñ kyā sadā.eñ aag kī
ḳhushk peḌoñ ke laboñ par kyā duā.eñ haiñ suno
chhā rahī haiñ har taraf dekho ghaTā.eñ aag kī
kūcha-o-bāzār bhī dīvār-o-dar bhī aag haiñ
ik ishāra sā hai fasleñ lahlahā.eñ aag kī
aag kī lahreñ haiñ yā logoñ kī sāñseñ haiñ yahāñ
dekhnā ye bastiyāñ ab ban na jaa.eñ aag kī
jism to kab kā jalā ab ruuh tak jaatī hai aañch
chal rahī haiñ tez kaisī ye havā.eñ aag kī
uḌ rahā hai ik bagūlā aag barsātā huā
khetiyāñ sab nazr logo ho na jaa.eñ aag kī