Shahnaz Noor

hawa ke hausle zanjir karna chahta hai

Shahnaz Noor

1947
havā ke hausle zanjīr karnā chāhtā hai
vo merī ḳhvāhisheñ tasvīr karnā chāhtā hai
nazar jis se churā kar maiñ guzarnā chāhtī huuñ
vo mausam hī mujhe tasḳhīr karnā chāhtā hai
visāl-e-dīd ko āñkheñ chhupānā chāhtī haiñ
magar dil vāqi.a tahrīr karnā chāhtā hai
mizāj-e-bād-o-bārāñ āshnā hai shauq lekin
na.e dīvār-o-dar tāmīr karnā chāhtā hai
mire saare savāl us kī nazar ke muntazir haiñ
vo dānista magar tāḳhīr karnā chāhtā hai
Top Urdushayar.com