kabhī jo mārka ḳhvāboñ se rat-jagoñ kā huā
ajiib silsila āñkhoñ se āñsuoñ kā huā
jalā ke chhoḌ gayā thā jo tāq-e-dil meñ kabhī
kisī ne pūchhā na kyā haal un diyoñ kā huā
likhā gayā hai mirā naam dushmanoñ meñ sadā
shumār jab bhī kabhī mere dostoñ kā huā
mazāq uḌāte the āñdhī se pahle sab merā
jo mere ghar kā thā phir haal sab gharoñ kā huā
badal rahī haiñ mire haath kī lakīreñ phir
kahā na ab ke bhī shāyad najūmiyoñ kā huā
vafā-shi.ār tabī.at kā ye sila hai 'nūr'
mirī hayāt kā har lamha dūsroñ kā huā