Shahnaz Noor

taq-e-jaan mein tere hijr ke rog sambhaal diye

Shahnaz Noor

1947
tāq-e-jāñ meñ tere hijr ke rog sambhāl diye
us ke baad jo ġham aa.e phir hañs ke Taal diye
kab tak aaḌ banā.e rakhtī apne hāthoñ ko
kab tak jalte tez havāoñ meñ behāl diye
vahī muqābil bhī thā merā sañg-e-rāh bhī thā
jis patthar ko maiñ ne apne ḳhadd-o-ḳhāl diye
zard rutoñ kī gard ne haal chhupāyā thā ghar kā
ik bārish ne dīvāroñ ke zaḳhm ujaal diye
dhaat kharī thī jazboñ kī lekin ujrat se qabl
qismat kī Taksāl ne sikke khoTe Dhaal diye
taaza rut ke istiqbāl kī ḳhātir shāḳhoñ ne
peḌ ke saare mausam-dīda-pāt uchhāl diye
jin ko paḌh kar pahle hañstī thī phir rotī thī
āḳhir ik din maiñ ne vo ḳhat aag meñ Daal diye
jin meñ the mazkūr havāle terī chāhat ke
'nūr' kitāb-e-zīst se vo aurāq nikāl diye
Top Urdushayar.com