Shahnaz Noor

kisi se hath kisi se nazar milate hue

Shahnaz Noor

1947
kisī se haath kisī se nazar milāte hue
maiñ bujh rahī huuñ ravā-dāriyāñ nibhāte hue
kisī ko mere dukhoñ kī ḳhabar bhī kaise ho
ki maiñ har ek se miltī huuñ muskurāte hue
ajiib ḳhauf hai andar kī ḳhāmushī kā mujhe
ki rāstoñ se guzartī huuñ gungunāte hue
kahāñ tak aur maiñ simTūñ ki umr biit ga.ī
dil o nazar ke taqāzoñ se muñh chhupāte hue
nahīñ malāl ki maiñ rā.egāñ huī huuñ 'nūr'
badan kī ḳhaak se dīvār-o-dar banāte hue
Top Urdushayar.com