ḳhayāl-o-ḳhvāb se ghar kab talak sajā.eñ ham
hai jī meñ ab to ki jī ḳhud se bhī uThā.eñ ham
ajiib vahshateñ hisse meñ apne aa.ī haiñ
ki tere ghar bhī pahuñch kar sakūñ na paa.eñ ham
anīs-e-jāñ to haiñ ye ḳhush-qadāñ chīnār magar
adā.eñ terī unheñ kis tarah sikhā.eñ ham
vo ghar to jal bhī chukā jis meñ tum hī tum the kabhī
ab us kī raakh se duniyā na.ī basā.eñ ham
sunā rahe haiñ dukhoñ kī kahāniyāñ kab se
bas ab to dhyān kī naddī meñ Duub jaa.eñ ham
har ek samt pahāḌoñ kā silsila hai yahāñ
hamārā haal hai kyā ye kise sunā.eñ ham