vahm hī hogā magar roz kahāñ hotā hai
dhuñdh chhā.ī hai to ik chehra ayaañ hotā hai
shaam ḳhush-rañg parindoñ ke chahak jaane se
ghar huā jaatā hai din meñ jo makāñ hotā hai
vo koī jazba ho alfāz kā mohtāj nahīñ
kuchh na kahnā bhī ḳhud apnī hī zabāñ hotā hai
be-sabab kuchh bhī nahīñ hotā hai yā yuuñ kahiye
aag lagtī hai kahīñ par to dhuāñ hotā hai
bāz-gasht aur sadāoñ kī ubhar aatī hai
jitnā ḳhālī koī 'akhilesh' kuaañ hotā hai