kāġhaz pa harf harf nikhar jaanā chāhiye
be-chehragī ko rañg meñ bhar jaanā chāhiye
mumkin hai āsmān kā rasta inhīñ se ho
niile samundaroñ meñ utar jaanā chāhiye
har-dam badan kī qaid kā ronā fuzūl hai
mausam sadā.eñ de to bikhar jaanā chāhiye
sahrā meñ kaun bhiik kise degā chhāñv kī
ḳhud apnī oT meñ hī Thahar jaanā chāhiye
tanhā safar meñ raat ke is pichhle vaqt meñ
āvāz koī de to kidhar jaanā chāhiye
jis se bichhaḌ ke ho ga.e sahrā-navard ham
ab tak to us ke zaḳhm bhī bhar jaanā chāhiye
paanī ko roktī ho jo 'akhilesh'-jī anā
ḳhud pyaas ko nadī meñ utar jaanā chāhiye