Akhilesh Tiwari

hansna rona pana khona marna jina pani par

Akhilesh Tiwari

Bina, Madhya Pradesh, India

1966
hañsnā ronā paanā khonā marnā jiinā paanī par
paḌhiye to kyā kyā likkhā hai dariyā kī peshānī par
mahñgā.ī hai daam mileñge sochā thā ham ne lekin
sharminda ho kar lauTe haiñ ḳhvāboñ kī arzānī par
ab tak ujḌe-pan meñ shāyad kuchh nazzāroñ laa.eq hai
varna jamghaT kyuuñ umDā rahtā hai is vīrānī par
raat jo āñkhoñ meñ chamke jugnū maiñ un kā shāhid huuñ
aap bhale charchā kariye ab sūraj kī tābānī par
sub.h-saverā daftar biivī bachche mahfil nīndeñ raat
yaar kisī ko mushkil bhī hotī hai is āsānī par
us kī sapnoñ vaalī pariyāñ kyuuñ maiñ dekh nahīñ paatā
bachcha hairāñ hai mujh par maiñ bachche kī hairānī par
ek achhūtā manzar mujh ko chhū kar guzrā thā ab to
pachhtānā hai ḳhud meñ Duube rahne kī nādānī par
ham fankāroñ kī fitrat se vāqif ho tum to 'akhilesh'
maqsad samho ruk mat jaanā bas lafzoñ ke ma.anī par
Top Urdushayar.com